Hai ye zameen hamaaree ... saaraa jahaan hamaaraa hai

है ये ज़मीं हमारी ... सारा जहाँ हमारा है
Year
Language

है ये ज़मीं हमारी वो आसमां हमारा
लो आज वक़्त बदला सारा जहाँ हमारा है
है ये ज़मीं हमारी …

हम जिस तरफ़ चले हैं दुनिया बदल गई है
तूफ़ान हट गया है आँधी संभल गई है
करता है नाज़ खुद पर हर एक जवां हमारा
लो आज वक़्त बदला …

कश्ती को ले चले मौजों पे हम ख़ुशी की
आवाज़ आ रही है कानों में ज़िन्दगी की
रोके नहीं रुकेगा अब कारवां हमारा
लो आज वक़्त बदला …

ये चिमनियां मिलों की ये ताज की मीनारें
गंगा की बहती मौज जमना के तेज धारे
धरती का ज़र्रा ज़रा है राज़दां हमारा
लो आज वक़्त बदला …

पैग़ाम दे रहे हैं हम सबको दोस्ती का
डंका बजा रहे हैं हम दुनिया में शांति का
इन्सानियत का झण्डा है अब निशां हमारा
लो आज वक़्त बदला …

hai ye zamīṅ hamārī vo āsmāṅ hamārā
lo āj vaqt badlā sārā jahāṇ hamārā hai
hai ye zamīṅ hamārī …

ham jis taraf chale haiṅ duniyā badal gaī hai
tūfān haṭ gayā hai āṇdhī saṅbhal gaī hai
kartā hai nāz khud par har ek javāṅ hamārā
lo āj vaqt badlā …

kaśhtī ko le chale maujoṅ pe ham khuśhī kī
āvāz ā rahī hai kānoṅ meṅ zindgī kī
roke nahīṅ rukegā ab kārvāṅ hamārā
lo āj vaqt badlā …

ye chimniyāṅ miloṅ kī ye tāj kī mīnāreṅ
gaṅgā kī bahtī mauj jamnā ke tej dhāre
dhartī kā zarrā zarā hai rāzdāṅ hamārā
lo āj vaqt badlā …

paiġhām de rahe haiṅ ham sabko dostī kā
ḍaṅkā bajā rahe haiṅ ham duniyā meṅ śhāṅti kā
insāniyat kā jhaṇḍā hai ab niśhāṅ hamārā
lo āj vaqt badlā …