Hai aisaa champion kahaan

है ऐसा चम्पिओन कहां
Work
Year
Language

champion champion
ऐसा कोई दीवाना ऐसा कोई मस्ताना
ऐसा कोई परवाना हां
दिल को चुराने वाला अपना बनाने वाला
जादू जगाने वाला हां
पत्थर को जो पिघला दे दिन में तारे दिखला दे
कर दे हर मुश्क़िल को आसां है ऐसा champion कहां

वो है फ़ौलादी उसका फूलों सा दिल
रंगते हैं सारे उसके रंगों से मिल
उसकी ज़ुबां जो बोले ठंडे पड़ जाए शोले
उसने कहा जो वो किया
है ऐसा champion कहां …

चलता है वो तो कभी रुकता नहीं
दुश्मन के आगे कभी झुकता नहीं
वो आगे उसके पीछे सारा ज़माना भागे
जोशीला है वो नौजवां
है ऐसा champion कहां …

champion champion
aisā koī dīvānā aisā koī mastānā
aisā koī parvānā hāṅ
dil ko churāne vālā apnā banāne vālā
jādū jagāne vālā hāṅ
patthar ko jo pighlā de din meṅ tāre dikhlā de
kar de har muśhqil ko āsāṅ hai aisā champion kahāṅ

vo hai faulādī uskā phūloṅ sā dil
raṅgte haiṅ sāre uske raṅgoṅ se mil
uskī zubāṅ jo bole ṭhaṅḍe paṛ jāe śhole
usne kahā jo vo kiyā
hai aisā champion kahāṅ …

chaltā hai vo to kabhī ruktā nahīṅ
duśhman ke āge kabhī jhuktā nahīṅ
vo āge uske pīchhe sārā zamānā bhāge
jośhīlā hai vo naujvāṅ
hai aisā champion kahāṅ …