Haay taubaa, mujhe too ne badnaam kar diyaa

हाय तौबा, मुझे तू ने बदनाम कर दिया
Year
Language

हाय तौबा मुझे तू ने बदनाम कर दिया
मेरी नज़र ने ये दिल तेरे नाम कर दिया
हाय तौबा …

तुमसे पिया हमको कहनी थी कितनी बातें
सोचा था कर लेंगे जब होंगी मुलाक़ातें
मिलने पर हम तुमसे लेकिन कुछ भी कह न पाये
बिना कहे हाँ
बिना कहे आँखों ने ये काम कर दिया
हाय तौबा …

देखो मिले कैसे हम दो राही अन्जाने
बातों ही बातों में बन बैठे मीत पुराने
कौन हूँ मैं और कौन है तू क़िसमत ने लेकिन देखो
मेरी कहानी, हाँ
मेरी कहानी का ये अंजाम कर दिया
हाय तौबा …

hāy taubā mujhe tū ne badnām kar diyā
merī nazar ne ye dil tere nām kar diyā
hāy taubā …

tumse piyā hamko kahnī thī kitnī bāteṅ
sochā thā kar leṅge jab hoṅgī mulāqāteṅ
milne par ham tumse lekin kuchh bhī kah na pāye
binā kahe hāṇ
binā kahe āṇkhoṅ ne ye kām kar diyā
hāy taubā …

dekho mile kaise ham do rāhī anjāne
bātoṅ hī bātoṅ meṅ ban baiṭhe mīt purāne
kaun hūṇ maiṅ aur kaun hai tū qismat ne lekin dekho
merī kahānī, hāṇ
merī kahānī kā ye aṅjām kar diyā
hāy taubā …