Haay tabassum teraa ... dhoop khil gaee raat men

हाय तबस्सुम तेरा ... धूप खिल गई रात में
Work
Year
Language

हाय तबस्सुम तेरा -2
धूप खिल गई रात में
या बिजली गिरी बरसात में
हाय तबस्सुम तेरा …

देखी तेरी अंगड़ाई
शम्मा की लौ थरथराई
उफ़ ये हँसी मासूम सी जन्नत का जैसे सवेरा
हाय तबस्सुम तेरा …

पलकों की चिलमन उठाना
धीरे से ये मुस्कराना
लब जो हिले ज़ुल्फ़ों तले छाया गुलाबी अँधेरा
हाय तबस्सुम तेरा …

रोको न अपनी हँसी को
जीने दो वल्लाह किसी को
तेरी हँसी जो रुक गई रुक जाएगा साँस मेरा
हाय तबस्सुम तेरा …

hāy tabassum terā -2
dhūp khil gaī rāt meṅ
yā bijlī girī barsāt meṅ
hāy tabassum terā …

dekhī terī aṅgaṛāī
śhammā kī lau tharathrāī
uf ye hṇsī māsūm sī jannat kā jaise saverā
hāy tabassum terā …

palkoṅ kī chilman uṭhānā
dhīre se ye muskrānā
lab jo hile zulfoṅ tale chhāyā gulābī aṇdherā
hāy tabassum terā …

roko na apnī hṇsī ko
jīne do vallāh kisī ko
terī hṇsī jo ruk gaī ruk jāegā sāṇs merā
hāy tabassum terā …