Haay roothe sainyaa hamaare sainyaa k‌yon roothe

हाय रूठे सैंया हमारे सैंया क्‌यों रूठे
Work
Year
Language

हाय रूठे सैंया
रूठे सैंया हमारे सैंया क्‌यों रूठे
ना तो हम बेवफ़ा ना तो हम झूठे
रूठे सैंया हमारे …

चैन न आया हमें नींद न आई
देते रहे सारी रैन दुहाई
कोई उनकी भी हाय राम
कोई उनकी भी यूँ ही निंदिया लूटे
रूठे सैंया हमारे …

कैसे न तड़पे दिल ये दीवाना
सच ही तो कहता है सारा ज़माना
लागी छूटे ना चाहे दुनिया छूटे
रूठे सैंया हमारे …

उनको मनाया हर एक अदा से
हाय मगर तौबा उनकी बला से
( वो ना माने ) -3 किसी का चाहे दिल टूटे
रूठे सैंया हमारे …

hāy rūṭhe saiṅyā
rūṭhe saiṅyā hamāre saiṅyā k‌yoṅ rūṭhe
nā to ham bevafā nā to ham jhūṭhe
rūṭhe saiṅyā hamāre …

chain na āyā hameṅ nīṅd na āī
dete rahe sārī rain duhāī
koī unkī bhī hāy rām
koī unkī bhī yūṇ hī niṅdiyā lūṭe
rūṭhe saiṅyā hamāre …

kaise na taṛpe dil ye dīvānā
sach hī to kahtā hai sārā zamānā
lāgī chhūṭe nā chāhe duniyā chhūṭe
rūṭhe saiṅyā hamāre …

unko manāyā har ek adā se
hāy magar taubā unkī balā se
( vo nā māne ) -3 kisī kā chāhe dil ṭūṭe
rūṭhe saiṅyā hamāre …