Haan tujhe dekhte hee ye dil kho gayaa hai

हां तुझे देखते ही ये दिल खो गया है
Year
Language

हे हे
हां तुझे देखते ही ये दिल खो गया है
तेरी सादगी पे फ़िदा हो गया है
नज़र जब टकराई मुहब्बत रंग लाई
मैं थोड़ा घबराया तू थोड़ी शरमाई
ओए ओए ओए ओए ओए

हां तुझे देखते ही ये दिल खो गया है
तेरी सादगी पे फ़िदा हो गया है
नज़र जब टकराई मुहब्बत रंग लाई
तू थोड़ा घबराया मैं थोड़ी शरमाई
ओए ओए ओए ओए ओए

मीथे मीठे प्यार के मैं सपने सजाऊंगा
दिल में छुपा के तुझे दूर ले जाऊंगा
बन के मैं साया तेरे पीछे पीछे आऊंगी
प्यार की कहानियां मैं तुझको सुनाऊंगी
खुली ये ज़ुल्फ़ मेरी हवा में लहराई
दीवाना कर देगी तेरी ये अंगड़ाई
हां तुझे देखते ही …

पहला पहला प्यार तेरा कैसे मैं छुपाऊंगी
मुझको सताएगा तो हाय मर जाऊंगी हां
खुली खुली अँखियों में तुझको बसाऊंगा
दिल को चुराया तेरी नींदें भी चुराऊंगा
बहारों की मस्ती तू अपने संग लाई
प्यार का मौसम है बजी है शहनाई
हां तुझे देखते ही …

he he
hāṅ tujhe dekhte hī ye dil kho gayā hai
terī sādgī pe fidā ho gayā hai
nazar jab ṭakrāī muhabbat raṅg lāī
maiṅ thoṛā ghabrāyā tū thoṛī śharmāī
oe oe oe oe oe

hāṅ tujhe dekhte hī ye dil kho gayā hai
terī sādgī pe fidā ho gayā hai
nazar jab ṭakrāī muhabbat raṅg lāī
tū thoṛā ghabrāyā maiṅ thoṛī śharmāī
oe oe oe oe oe

mīthe mīṭhe pyār ke maiṅ sapne sajāūṅgā
dil meṅ chhupā ke tujhe dūr le jāūṅgā
ban ke maiṅ sāyā tere pīchhe pīchhe āūṅgī
pyār kī kahāniyāṅ maiṅ tujhko sunāūṅgī
khulī ye zulf merī havā meṅ lahrāī
dīvānā kar degī terī ye aṅgaṛāī
hāṅ tujhe dekhte hī …

pahlā pahlā pyār terā kaise maiṅ chhupāūṅgī
mujhko satāegā to hāy mar jāūṅgī hāṅ
khulī khulī aṇkhiyoṅ meṅ tujhko basāūṅgā
dil ko churāyā terī nīṅdeṅ bhī churāūṅgā
bahāroṅ kī mastī tū apne saṅg lāī
pyār kā mausam hai bajī hai śhahnāī
hāṅ tujhe dekhte hī …