Haan mujhe pyaar huaa pyaar huaa allaah miyaa

हाँ मुझे प्यार हुआ प्यार हुआ अल्लाह मिया
Work
Year
Language

हाँ मुझे प्यार हुआ प्यार हुआ अल्लाह मिया
भरी बरसात में इकरार हुआ अल्लाह मिया
हाँ मुझे प्यार हुआ …

तुझे नहीं देखूं तो जिया नहीं माने
हाल मेरा क्‌या है ये मेरा ख़ुदा जाने
तुझसे मिलने जुलने के मिल गए बहाने
नज़र मिली ऐसी कि बन गए फ़साने
देखा जब ख़्वाब तो दीदार हुआ अल्लाह मिया
हाँ मुझे प्यार हुआ …

तेरी मेरी चाहत का बरस रहा सावन
बूंद गिरी दिल पे तो भीग गई धड़कन
खुल के मिले आशिक़ तो टूट गए बन्धन
जवां दिलवालों का आज हुआ संगम
ऐसा इक बार ना सौ बार हुआ अल्लाह मिया
भरी बरसात में …

hāṇ mujhe pyār huā pyār huā allāh miyā
bharī barsāt meṅ ikrār huā allāh miyā
hāṇ mujhe pyār huā …

tujhe nahīṅ dekhūṅ to jiyā nahīṅ māne
hāl merā k‌yā hai ye merā khudā jāne
tujhse milne julne ke mil gae bahāne
nazar milī aisī ki ban gae fasāne
dekhā jab khvāb to dīdār huā allāh miyā
hāṇ mujhe pyār huā …

terī merī chāhat kā baras rahā sāvan
būṅd girī dil pe to bhīg gaī dhaṛkan
khul ke mile āśhiq to ṭūṭ gae bandhan
javāṅ dilvāloṅ kā āj huā saṅgam
aisā ik bār nā sau bār huā allāh miyā
bharī barsāt meṅ …