Haal-e-dil yoon unhen sunaayaa gayaa

हाल-ए-दिल यूँ उन्हें सुनाया गया
Work
Year
Language

हाल-ए-दिल यूँ उन्हें सुनाया गया
आँख ही को ज़ुबाँ बनाया गया

ज़िन्दगी की उदास रातों को
आपकी याद में सजाया गया
हाल-ए-दिल यूँ …

इश्क़ की वो भी इक मंज़िल थी
हर क़दम पर फ़रेब खाया गया
हाल-ए-दिल यूँ …

दिल पे एक वह भी हादसा गुज़रा -2
आज तक दिल से न छुपाया गया
हाल-ए-दिल यूँ …

लाख तूफ़ाँ समेट कर या रब -2
किसलिए एक दिल बनाया गया
हाल-ए-दिल यूँ …

hāl-e-dil yūṇ unheṅ sunāyā gayā
āṇkh hī ko zubāṇ banāyā gayā

zindgī kī udās rātoṅ ko
āpkī yād meṅ sajāyā gayā
hāl-e-dil yūṇ …

iśhq kī vo bhī ik maṅzil thī
har qadam par fareb khāyā gayā
hāl-e-dil yūṇ …

dil pe ek vah bhī hādsā guzrā -2
āj tak dil se na chhupāyā gayā
hāl-e-dil yūṇ …

lākh tūfāṇ sameṭ kar yā rab -2
kislie ek dil banāyā gayā
hāl-e-dil yūṇ …