Haal-e-dil unko sunaanaa thaa sunaayaa naa gayaa

हाल-ए-दिल उनको सुनाना था सुनाया ना गया
Work
Year
Language

हाल-ए-दिल उनको सुनाना था -2
सुनाया ना गया, सुनाया ना गया
जो ज़ुबाँ पर मुझे लाना था -2
वो लाया ना गया, वो लाया ना गया
हाल-ए-दिल उनको …

प्यर में सीने पे सर रखके तो दिल क़दमों पर -2
आप को अपना बनाना था -2
बनाया ना गया, बनाया ना गया
हाल-ए-दिल उनको …

खेलती आँख मिचोली रही नज़रें अपनी -2
जिनको पलकों में छुपाना था -2
छुपाया ना गया, छुपाया ना गया
हाल-ए-दिल उनको …

एक ही वार में हाथों से जिगर छीन लिया -2
हाय जिस दिल को बचाना था -2
बचाया ना गया, बचाया ना गया
हाल-ए-दिल उनको …

hāl-e-dil unko sunānā thā -2
sunāyā nā gayā, sunāyā nā gayā
jo zubāṇ par mujhe lānā thā -2
vo lāyā nā gayā, vo lāyā nā gayā
hāl-e-dil unko …

pyar meṅ sīne pe sar rakhke to dil qadmoṅ par -2
āp ko apnā banānā thā -2
banāyā nā gayā, banāyā nā gayā
hāl-e-dil unko …

kheltī āṇkh micholī rahī nazreṅ apnī -2
jinko palkoṅ meṅ chhupānā thā -2
chhupāyā nā gayā, chhupāyā nā gayā
hāl-e-dil unko …

ek hī vār meṅ hāthoṅ se jigar chhīn liyā -2
hāy jis dil ko bachānā thā -2
bachāyā nā gayā, bachāyā nā gayā
hāl-e-dil unko …