Haal-e-dil hamaaraa, jaane na bevafaa ye zamaanaa zamaanaa

हाल-ए-दिल हमारा, जाने न बेवफ़ा ये ज़माना ज़माना
Year
Language

हाल-ए-दिल हमारा, जाने न बेवफ़ा ये ज़माना ज़माना - 2
सुनो दुनिया वालों आएगा लौट के दिन सुहाना सुहाना
हाले-ए-दिल हमारा

एक दिन दुनिया बदलकर रास्ते पे आएगी
आज ठुकराती है हमको कल मगर शर्माएगी
बात को तुम मान लो अरे जान लो भैया
हाल-ए-दिल हमारा …

दाग हैं दिल पर हज़ारों हम तो फिर भी शाद हैं
आस के दीपक जलाये देख लो आबाद हैं
तीर दुनिया के सहे पर खुश रहे भैया
हाल-ए-दिल हमारा …

झूठ की मंज़िल पे यारों हम ना हर्गिज़ जायेंगे
हम ज़मीं की खाक सही आसमां पर छाएंगे
क्‌यूं भला दबकर रहें डरते नहीं भैया
हाल-ए-दिल हमारा, जाने न बेवफ़ा ये ज़माना ज़माना
सुनो दुनिया वालों आयेगा लौट के दिन सुहाना सुहाना
हाल-ए-दिल हमारा

hāl-e-dil hamārā, jāne na bevafā ye zamānā zamānā - 2
suno duniyā vāloṅ āegā lauṭ ke din suhānā suhānā
hāle-e-dil hamārā

ek din duniyā badalkar rāste pe āegī
āj ṭhukrātī hai hamko kal magar śharmāegī
bāt ko tum mān lo are jān lo bhaiyā
hāl-e-dil hamārā …

dāg haiṅ dil par hazāroṅ ham to phir bhī śhād haiṅ
ās ke dīpak jalāye dekh lo ābād haiṅ
tīr duniyā ke sahe par khuśh rahe bhaiyā
hāl-e-dil hamārā …

jhūṭh kī maṅzil pe yāroṅ ham nā hargiz jāyeṅge
ham zamīṅ kī khāk sahī āsmāṅ par chhāeṅge
k‌yūṅ bhalā dabkar raheṅ ḍarte nahīṅ bhaiyā
hāl-e-dil hamārā, jāne na bevafā ye zamānā zamānā
suno duniyā vāloṅ āyegā lauṭ ke din suhānā suhānā
hāl-e-dil hamārā