गुज़रे हैं आज इश्क़ में हम उस मक़ाम से
गुज़रे हैं आज इश्क़ में हम उस मक़ाम से
नफ़रत सी हो गई है मुहब्बत के नाम से
हमको न ये गुमान था, ओ संगदिल सनम
राह-ए-वफ़ा से तेरे बहक जाएंगे क़दम
छलकेगा ज़हर भी तेरी आँखों के जाम से
ओ बेवफ़ा तेरा भी यूँ ही टूट जाए दिल
तू भी तड़प-तड़प के पुकारे हाय दिल
तेरा भी सामना हो कभी, ग़म की शाम से
हम वो नहीं जो प्यार में रोकर गुज़ार दें
परछाईं भी हो तेरी तो ठोकर से मार दें
वाक़िफ़ हैं हम भी ख़ूब हर एक इंतक़ाम से
guzre haiṅ āj iśhq meṅ ham us maqām se
nafrat sī ho gaī hai muhabbat ke nām se
hamko na ye gumān thā, o saṅgdil sanam
rāh-e-vafā se tere bahak jāeṅge qadam
chhalkegā zahar bhī terī āṇkhoṅ ke jām se
o bevafā terā bhī yūṇ hī ṭūṭ jāe dil
tū bhī taṛap-taṛap ke pukāre hāy dil
terā bhī sāmnā ho kabhī, ġham kī śhām se
ham vo nahīṅ jo pyār meṅ rokar guzār deṅ
parchhāīṅ bhī ho terī to ṭhokar se mār deṅ
vāqif haiṅ ham bhī khūb har ek iṅtaqām se