Gusse men jo nikhraa hai us husn kaa k‌yaa kahnaa

गुस्से में जो निखरा है उस हुस्न का क्‌या कहना
Year
Language

गुस्से में जो निखरा है उस हुस्न का क्‌या कहना
कुछ देर अभी हमसे तुम यूँ ही ख़फ़ा रहना -2

इस हुस्न के सागर की इक बूँद चुरा लें हम -2
इन गर्म निगाहों को सीने से लगा लें हम -2
( पल भर इसी आलम में ) -2 ऐ जान-ए-अदा रहना
कुछ देर अभी हमसे …

ये बहका हुआ चेहरा ये बिखरी हुई ज़ुल्फ़ें -2
ये चढ़ती हुई धड़कन ये बढ़ती हुई साँसें -2
( सामान-ए-कज़ा हो तुम ) -2 सामान-ए-कज़ा रहना
कुछ देर अभी हमसे …

पहले भी हसीं थीं तुम लेकिन ये हक़ीक़त है -2
वो हुस्न मुसीबत था ये हुस्न क़यामत है -2
( औरों से तो बढ़कर हो ) -2 खुद के भी सिवा रहना
कुछ देर अभी हमसे …

gusse meṅ jo nikhrā hai us husn kā k‌yā kahnā
kuchh der abhī hamse tum yūṇ hī khafā rahnā -2

is husn ke sāgar kī ik būṇd churā leṅ ham -2
in garm nigāhoṅ ko sīne se lagā leṅ ham -2
( pal bhar isī ālam meṅ ) -2 ai jān-e-adā rahnā
kuchh der abhī hamse …

ye bahkā huā chehrā ye bikhrī huī zulfeṅ -2
ye chaṛhtī huī dhaṛkan ye baṛhtī huī sāṇseṅ -2
( sāmān-e-kazā ho tum ) -2 sāmān-e-kazā rahnā
kuchh der abhī hamse …

pahle bhī hasīṅ thīṅ tum lekin ye haqīqat hai -2
vo husn musībat thā ye husn qayāmat hai -2
( auroṅ se to baṛhkar ho ) -2 khud ke bhī sivā rahnā
kuchh der abhī hamse …