Gussaa chhor dil na tor bigar na gharee gharee ... vanak‌kam

गुस्सा छोड़ दिल न तोड़ बिगड़ न घड़ी घड़ी ... वणक्‌कम्
Work
Year
Language

हे गुस्सा छोड़ दिल न तोड़ बिगड़ न घड़ी घड़ी
किस माँ ने जन्म दिया धो के हाथ तू पीछे पड़ी
वणक्‌कम
गुस्सा छोड़ दिल न तोड़ …

डन्डे से क्‌यों मारे हम तो आँखों से मर जाएंगे
तू जो कहे तो गली क्‌या दुनिया से गुज़र जाएंगे
आलांबू
ऊँची हवेली वाली ये आदत कहाँ से सीखी
लड्डू जैसी मीठी उई मिर्ची जैसी तीखी
आलांबू
गुस्सा छोड़ दिल न तोड़ …

जितना हसीं बदन है दिल भी हसीं बना ले
डंक मार ले लेकिन शहद भी ज़रा पिला दे
आलांबू -3
गुस्सा छोड़ दिल न तोड़ …

he gussā chhoṛ dil na toṛ bigaṛ na ghaṛī ghaṛī
kis māṇ ne janm diyā dho ke hāth tū pīchhe paṛī
vaṇak‌kam
gussā chhoṛ dil na toṛ …

ḍanḍe se k‌yoṅ māre ham to āṇkhoṅ se mar jāeṅge
tū jo kahe to galī k‌yā duniyā se guzar jāeṅge
ālāṅbū
ūṇchī havelī vālī ye ādat kahāṇ se sīkhī
laḍḍū jaisī mīṭhī uī mirchī jaisī tīkhī
ālāṅbū
gussā chhoṛ dil na toṛ …

jitnā hasīṅ badan hai dil bhī hasīṅ banā le
ḍaṅk mār le lekin śhahad bhī zarā pilā de
ālāṅbū -3
gussā chhoṛ dil na toṛ …