Guriyaa raanee bitiyaa raanee ... raajkunvar jee aaenge

गुड़िया रानी बिटिया रानी ... राजकुंवर जी आएंगे
Work
Year
Language

गुड़िया रानी बिटिया रानी परियों की नगरी से एक दिन
राजकुंवर जी आएंगे महलों में ले जाएंगे
गुड़िया रानी बिटिया रानी …

आगे पीछे घोड़े हाथी बीच में होंगे सौ बाराती
इतनी आज अकेली हो तुम तेरे कितने होंगे साथी
कितनी खुश हूँ मैं मेरी आँख में पानी
गुड़िया रानी बिटिया रानी …

तू मेरी छोटी सी गुड़िया बन जाएगी जादू की पुड़िया
तुझपे आ जाएगी जवानी मैं तो हो जाऊंगी बुढ़िया
भूल ना जाना प्रीत पुरानी
गुड़िया रानी बिटिया रानी …

guṛiyā rānī biṭiyā rānī pariyoṅ kī nagrī se ek din
rājkuṅvar jī āeṅge mahloṅ meṅ le jāeṅge
guṛiyā rānī biṭiyā rānī …

āge pīchhe ghoṛe hāthī bīch meṅ hoṅge sau bārātī
itnī āj akelī ho tum tere kitne hoṅge sāthī
kitnī khuśh hūṇ maiṅ merī āṇkh meṅ pānī
guṛiyā rānī biṭiyā rānī …

tū merī chhoṭī sī guṛiyā ban jāegī jādū kī puṛiyā
tujhpe ā jāegī javānī maiṅ to ho jāūṅgī buṛhiyā
bhūl nā jānā prīt purānī
guṛiyā rānī biṭiyā rānī …