mere sanam mujhko terī kasam
tujhse bichhaṛ kar mar jāeṅge ham
ke marne se pahle jī leṅ zarā ham
mere sanam mujhko …
aisī lagī hai ye dil kī lagī
sāvan kaī barse ye nā bujhī
is āg meṅ ek din jal jāeṅge ham
ke marne se pahle …
idhar ā tujhe maiṅ gale se lagā lūṅ
tujhe apnī āṇkhoṅ kā kājal banā lūṅ
hazāroṅ hai bāteṅ magar vaqt hai kam
ke marne se pahle …
ye pyāsī muhabbat ye pyāsī javānī
adhūrī adhūrī ye dil kī kahānī
jhukī huī hai rāt ye rukī huī hai bāt ye
ye chāṇdnī rāt āge chale
ho kuchh pyār kī bāt āge chale
kab kaun jāne kahāṅ chalā jāe
mausam yahāṅ se vahāṅ chalā jāe
aisā na ho ye samā chalā jāe
jhukī huī hai āṇkh bhī rukī huī hai sāṇs bhī
kuchh to mulākāt āge chale
ho kuchh pyār kī bāt …
bole ye nazar ye jubāṅ chalī jāe
ye dil gayā ab ye jāṅ chalī jāe