Gumnaam hai koee badnaam hai koee

गुमनाम है कोई बदनाम है कोई
Work
Year
Language

गुमनाम है कोई बदनाम है कोई
किसको ख़बर कौन है वो अनजान है कोई
गुमनाम है कोई …

किसको समझें हम अपना कल का नाम है इक सपना -2
आज अगर तुम ज़िन्दा हो तो ( कल के लिए ) -2 माला जपना
गुमनाम है कोई …

पल दो पल की मस्ती है बस दो दिन की हस्ती है -2
चैन यहाँ पर महँगा है और ( मौत यहाँ ) -2 पर सस्ती है
गुमनाम है कोई …

कौन बला तूफ़ानी है मौत को ख़ुद हैरानी है -2
आए सदा वीरानों से जो ( पैदा हुआ ) -2 वो फ़ानी है
गुमनाम है कोई …

gumnām hai koī badnām hai koī
kisko khabar kaun hai vo anjān hai koī
gumnām hai koī …

kisko samjheṅ ham apnā kal kā nām hai ik sapnā -2
āj agar tum zindā ho to ( kal ke lie ) -2 mālā japnā
gumnām hai koī …

pal do pal kī mastī hai bas do din kī hastī hai -2
chain yahāṇ par mahṇgā hai aur ( maut yahāṇ ) -2 par sastī hai
gumnām hai koī …

kaun balā tūfānī hai maut ko khud hairānī hai -2
āe sadā vīrānoṅ se jo ( paidā huā ) -2 vo fānī hai
gumnām hai koī …