din ḍhal jāye hāy, rāt nā jāy
tū to na āe terī, yād satāye, din ḍhal jāye
pyār meṅ jinke, sab jag chhoṛā, aur hue badnām
unke hī hāthoṅ, hāl huā ye, baiṭhe haiṅ dil ko thām
apne kabhī the, ab haiṅ parāye
din ḍhal jāye hāy …
aisī hī rim-jhim, aisī fuvāreṅ, aisī hī thī barsāt
khud se judā aur, jag se parāye, ham donoṅ the sāth
phir se vo sāvan, ab kyūṇ na āye
din ḍhal jāye hāy …
dil ke mere tum, pās ho kitnī, phir bhī ho kitnī dūr
tum mujh se maiṅ, dil se pareśhāṇ, donoṅ haiṅ majbūr
aise meṅ kisko, kaun manāye
din ḍhal jāye hāye …