Gori Chalo Na Hans Ki Chaal

गोरी चलो न हंस की चाल ज़माना दुश्मन है
Work
Year
Language

र: गोरी चलो न हंस की चाल ज़माना दुश्मन है
तेरी उमर है सोलह साल ज़माना दुश्मन है
आ: कुछ परवाह नहीं सरकार ज़माना दुश्मन हो
मुझे तुमसे हुआ है प्यार ज़माना दुश्मन हो

र: ओ चाँद सी उजली हसीना तुम छोड़ दो आना-जाना
रोकेगा तुम्हारी राहें हम जैसा कोई दीवाना
आ: कोई लाख लगाए पहरे मैं पहरे तोड़ के आऊँ
हूँ तेरे मिलन की प्यासी मैं दुनिया छोड़ के आऊँ

र: ये इश्क़ है आग का दरिया तुम सोच-समझ के उतरना
हैं इसमें हज़ारों तूफ़ाँ आसान नहीं है गुज़रना
आ: जब प्यार का बंधन बाँधा फिर आग हो या हो पानी
डर जाए वो कैसी उल्फ़त जल जाए वो कैसी जवानी
र: गोरी चलो न …

ra: gorī chalo na haṅs kī chāl zamānā duśhman hai
terī umar hai solah sāl zamānā duśhman hai
ā: kuchh parvāh nahīṅ sarkār zamānā duśhman ho
mujhe tumse huā hai pyār zamānā duśhman ho

ra: o chāṇd sī ujlī hasīnā tum chhoṛ do ānā-jānā
rokegā tumhārī rāheṅ ham jaisā koī dīvānā
ā: koī lākh lagāe pahre maiṅ pahre toṛ ke āūṇ
hūṇ tere milan kī pyāsī maiṅ duniyā chhoṛ ke āūṇ

ra: ye iśhq hai āg kā dariyā tum soch-samajh ke utarnā
haiṅ ismeṅ hazāroṅ tūfāṇ āsān nahīṅ hai guzarnā
ā: jab pyār kā baṅdhan bāṇdhā phir āg ho yā ho pānī
ḍar jāe vo kaisī ulfat jal jāe vo kaisī javānī
ra: gorī chalo na …