Goree nain tumhaare k‌yaa kahne

गोरी नैन तुम्हारे क्‌या कहने
Work
Year
Language

गोरी नैन तुम्हारे क्‌या कहने -2
बालों में सावन की घटा
गालों पे पूनम की छटा
घुँघटा हटा
गोरी नैन तुम्हारे …

चंचल-चंचल चाल तुम्हारी हिरनी धोखा खाए
गोरा-गोरा देखके मुखड़ा चन्दा छुप-छुप जाए
बात करे तो फूल झरें मुस्काए तो रंग भरें
ज़ुल्म करें
गोरी नैन तुम्हारे …

पल में मारे पल में जिलाए छुप-छुप बान चलाए
नीलकमल से इन नैनों का भेद समझ ना आए
कभी-कभी तो प्यार करें कभी-कभी तकरार करें
रस के भरे
गोरी नैन तुम्हारे …

gorī nain tumhāre k‌yā kahne -2
bāloṅ meṅ sāvan kī ghaṭā
gāloṅ pe pūnam kī chhaṭā
ghuṇghṭā haṭā
gorī nain tumhāre …

chaṅchal-chaṅchal chāl tumhārī hirnī dhokhā khāe
gorā-gorā dekhke mukhaṛā chandā chhup-chhup jāe
bāt kare to phūl jhareṅ muskāe to raṅg bhareṅ
zulm kareṅ
gorī nain tumhāre …

pal meṅ māre pal meṅ jilāe chhup-chhup bān chalāe
nīlkamal se in nainoṅ kā bhed samajh nā āe
kabhī-kabhī to pyār kareṅ kabhī-kabhī takrār kareṅ
ras ke bhare
gorī nain tumhāre …