गोरे गोरे मुखड़े पे काला काला चश्मा
गोरे गोरे मुखड़े पे काला काला चश्मा
तौबा ख़ुदा खैर करे खूब है करिश्मा
गोरे गोरे मुखड़े पे …
देखो इसको गौर से लड़की है कि हूर है
जादू इसके रूप में ये कितनी मगरूर है
देखूँ जब देखूँ इसे दिल धड़के
तड़पे जवानी हाय आँख फड़के
तौबा ख़ुदा खैर करे …
आदत अपनी छोड़ दे कहना मेरा मान ले
यानी मैं क्या चीज़ हूँ तू मुझको पहचान ले
जा रे जा अनाड़ी ऐसी बातें ना बना
जानूँ मैं हूँ जानूँ तेरी मर्ज़ी है क्या
तूने मेरी जान मेरा देखा ना करिश्मा
गोरे गोरे मुखड़े पे …
gore gore mukhaṛe pe kālā kālā chaśhmā
taubā khudā khair kare khūb hai kariśhmā
gore gore mukhaṛe pe …
dekho isko gaur se laṛkī hai ki hūr hai
jādū iske rūp meṅ ye kitnī magrūr hai
dekhūṇ jab dekhūṇ ise dil dhaṛke
taṛpe javānī hāy āṇkh phaṛke
taubā khudā khair kare …
ādat apnī chhoṛ de kahnā merā mān le
yānī maiṅ kyā chīz hūṇ tū mujhko pahchān le
jā re jā anāṛī aisī bāteṅ nā banā
jānūṇ maiṅ hūṇ jānūṇ terī marzī hai kyā
tūne merī jān merā dekhā nā kariśhmā
gore gore mukhaṛe pe …