koras: rū rū rūrururū
kiśhor: ajī āp log bhī gāiye nā
koras (louder): rū rū rūrururū
āśhā: kyā jāno tum bin thī kyā dil ko beqrārī
mahafil kī, mahafil kī dīvānī sī tumhārī
chain āyā jab dekhī ye sūrat pyārī pyārī
āo, āo jān-e-jahāṇ āo, āo jān-e-jahāṇ
dil ne ḍhūṇḍhā tujhe kahāṇ kahāṇ
kiśhor: āo ham bhī āe haiṅ bāhoṅ ke hār leke
hoṅṭhoṅ pe ek naġhmā āṇkhoṇ meṅ pyār leke
is dil ke śhīśhe meṅ tasvīr-e-yār leke
āo, āo jān-e-jahāṇ
dil ne ḍhūṇḍhā tujhe kahāṇ kahāṇ
āo, āo jān-e-jahāṇ
āśhā: ulfat hai yā kyā hai kuchh kam hai dil kī uljhan
pahle thī khoyī sī ab chaṅchal hai ye chitavan
tum chhū lo kuchh aise lahrāye merā tan-man
donoṅ: āo, āo jān-e-jahāṇ
dil ne ḍhūṇḍhā tujhe kahāṇ kahāṇ
āo, āo jān-e-jahāṇ