Ghungru kee tarah bajtaa hee rahaa hoon mai

घुंगरु की तरह बजता ही रहा हूँ मै
Year
Language

घुन्गरू की तरह, बजता ही रहा हूँ मैं
कभी इस पग में, कभी उस पग में
बंधता ही रहा हूँ मैं

कभी टूट गया, कभी तोड़ा गया
सौ बार मूझे फिर जोड़ा गया
यूँ ही लूट लूट के और मिट मिट के
बनता ही रहा हूँ मैं

मैं करता रहा औरो की कही
मेरी बात मेरे मन ही में रही
कभी मंदिर में, कभी महफ़िल में
सजता ही रहा हूँ मैं

अपनों में रहें या गैरों में
घुन्गरू की जगह तो है पैरो में
फिर कैसा गिला, जग से जो मिला
सहता ही रहा हूँ मैं

ghungrū kī tarah, bajtā hī rahā hūṇ maiṅ
kabhī is pag meṅ, kabhī us pag meṅ
baṅdhtā hī rahā hūṇ maiṅ

kabhī ṭūṭ gayā, kabhī toṛā gayā
sau bār mūjhe phir joṛā gayā
yūṇ hī lūṭ lūṭ ke aur miṭ miṭ ke
bantā hī rahā hūṇ maiṅ

maiṅ kartā rahā auro kī kahī
merī bāt mere man hī meṅ rahī
kabhī maṅdir meṅ, kabhī mahafil meṅ
sajtā hī rahā hūṇ maiṅ

apnoṅ meṅ raheṅ yā gairoṅ meṅ
ghungrū kī jagah to hai pairo meṅ
phir kaisā gilā, jag se jo milā
sahtā hī rahā hūṇ maiṅ