Ghunghroo kee tarah bajtaa hee rahaa hoon

घुँघरू की तरह बजता ही रहा हूँ
Year
Language

घुँघरू की तरह बजता ही रहा हूँ मैं
कभी इस पग में कभी उस पग में बँधता ही रहा हूँ मैं
घुँघरू की तरह …

कभी टूट गया कभी तोड़ा गया
सौ बार मुझे फिर जोड़ा गया
यूँ ही टूट-टूट के, फिर जुट-जुट के
बजता ही रहा हूँ मैं
घुँघरू की तरह …

मैं करता रहा औरों की कही
मेरे मन की ये बात मन ही में रही
है ये कैसा गिला जिसने जो कहा
करता ही रहा हूँ मैं
घुँघरू की तरह …

अपनों में रहे या ग़ैरों में
घुँघरू की जगह तो है पैरों में
कभी मन्दिर में कभी महफ़िल में
सजता ही रहा हूँ मैं
घुँघरू की तरह …

ghuṇghrū kī tarah bajtā hī rahā hūṇ maiṅ
kabhī is pag meṅ kabhī us pag meṅ bṇdhtā hī rahā hūṇ maiṅ
ghuṇghrū kī tarah …

kabhī ṭūṭ gayā kabhī toṛā gayā
sau bār mujhe phir joṛā gayā
yūṇ hī ṭūṭ-ṭūṭ ke, phir juṭ-juṭ ke
bajtā hī rahā hūṇ maiṅ
ghuṇghrū kī tarah …

maiṅ kartā rahā auroṅ kī kahī
mere man kī ye bāt man hī meṅ rahī
hai ye kaisā gilā jisne jo kahā
kartā hī rahā hūṇ maiṅ
ghuṇghrū kī tarah …

apnoṅ meṅ rahe yā ġhairoṅ meṅ
ghuṇghrū kī jagah to hai pairoṅ meṅ
kabhī mandir meṅ kabhī mahafil meṅ
sajtā hī rahā hūṇ maiṅ
ghuṇghrū kī tarah …