Ghar se masjid hai bahut door

घर से मस्जिद है बहुत दूर्
Work
Year
Language

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो, यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाये
घर से मस्जिद है बहुत दूर …

हम्सफ़र तो कोई वक़्त के वीराने में - 2
सूनी आँखों में - 2
कोई ख्वाब सजाया
घर से मस्जिद है बहुत दूर …

रोशनी की भी हिफ़ाज़त है इबादत की तरह - 2
बुझते सूरज से -2
चाराग़ों को जलाया जाये
घर से मस्जिद है बहुत दूर …

ग़म अकेला है तो साँसों को सताता है बहुत - 2
दर्द को दर्द का -2
हम्दर्द बनाया जाये
घर से मस्जिद है बहुत दूर …

ghar se masjid hai bahut dūr chalo, yūṇ kar leṅ
kisī rote hue bachche ko hṇsāyā jāye
ghar se masjid hai bahut dūr …

hamsafar to koī vaqt ke vīrāne meṅ - 2
sūnī āṇkhoṅ meṅ - 2
koī khvāb sajāyā
ghar se masjid hai bahut dūr …

rośhnī kī bhī hifāzat hai ibādat kī tarah - 2
bujhte sūraj se -2
chārāġhoṅ ko jalāyā jāye
ghar se masjid hai bahut dūr …

ġham akelā hai to sāṇsoṅ ko satātā hai bahut - 2
dard ko dard kā -2
hamdard banāyā jāye
ghar se masjid hai bahut dūr …