Ghabraa ke jo ham sar ko takraaen to achchhaa ho

घबरा के जो हम सर को टकराएं तो अच्छा हो
Work
Year
Language

घबरा के जो हम सर को टकराएं तो अच्छा हो
इस जीने में सौ दुख हैं मर जाएं तो अच्छा हो

दिल डूबने का मंज़र वो भी तो ज़रा देखें
आँसू मेरी आँखों में भर आएं तो अच्छा हो

जो हम पे गुज़रनी है इक बार गुज़र जाए
वो कितने सितमगर है खुल जाए तो अच्छा हो

ghabrā ke jo ham sar ko ṭakrāeṅ to achchhā ho
is jīne meṅ sau dukh haiṅ mar jāeṅ to achchhā ho

dil ḍūbne kā maṅzar vo bhī to zarā dekheṅ
āṇsū merī āṇkhoṅ meṅ bhar āeṅ to achchhā ho

jo ham pe guzarnī hai ik bār guzar jāe
vo kitne sitamgar hai khul jāe to achchhā ho