ye ḍar kā asar hai
ye ḍar hai
ye ḍar ik zahar hai
ye jo ḍar hai
hotā hai ḍar dil meṅ to phaṭtī hai har vo āvāz jo halak se nikaltī hai
ḍar hai
ye ḍar ik zahar hai
ye ḍar hai
ai par tere ko mālūm idhar jo ḍar gayā vo sālā mar gayā
jo phikar vikar ṭenśhan venśhan jīne kā ṭiklī phoṛ ke kyā
māmā māmā māmā māmā jo chāho karo haṅgāmā
sabko ḍar hai khauf hai kisī na kisī chīz kā
jo na kisī se ḍarā vo apnā kām kar gayā
jo ḍar gayā vo …
ḍar lagā rahtā hai gaiṅgvār kā yahāṅ
jāne kab kahāṅ se chal paṛeṅgī goliyāṅ
bach ke is māhaul se jāe koī kahāṅ
kyā patā kis rūp meṅ chhupā ho bheṛiyā
uskā ḍar hai bābā golī lag gaī to
lag gae nā pūre ke pūre bābā
oe sun tussī phir ḍar gae ho
oe samjh lo tusī mar gae ho
māmā māmā …
sabko ḍar hai …
jo na kisī se …
jo ḍar gayā vo …
koī bik rahā hai yahāṅ voṭ ke lie
koī bik rahā hai yahāṅ noṭ ke lie
sabkā chehrā āīnā dekh ke utar gayā
jo ḍar gayā vo …
sab khā rahe haiṅ khuśhī se parāṅṭhe
chal rahe haiṅ dil pe chhurī aur kāṇṭe
iskā ḍar hai laṛkī pe lāīn māro
do māregī vo chāṅṭe iskā ḍar hai
fel ho gayā to ghar pe bāp tujhko ḍāṅṭe iskā ḍar hai
dhūp kā bhī ḍar hai bhūt kā bhī ḍar hai
pulis kā bhī ḍar hai netāoṅ kā bhī ḍar hai
ye ḍar hai kamāl tujhko ḍar se bhī ḍar hai
ye ḍar hai
ye ḍar ik zahar hai …
nā to koī hādsā thā nā koī junūn thā
har taraf aman thā chain thā sukūn thā
vo jo sapnoṅ kā śhahar thā yāroṅ vo kidhar gayā
jo ḍar gayā vo …
ai kyā re vo āyā kyā
nahīṅ mālūm thā
jo ḍar gayā sālā mar gayā