गज़ब का है दिन, सोचो ज़रा
ग़ज़ब का है दिन, सोचो ज़रा
ये दीवानापन, देखो ज़रा
तुम हो अकेले, हम भी अकेले
मज़ा आ रहा है, क़सम से, क़सम से
1) देख लो, हमको करीब से
आज हम मिले हैं नसीब से
ये पल फिर कहाँ
और ये मंजिल फिर कहाँ, ग़ज़ब …
2) क्या कहूँ, मेरा जो हाल है
रात दिन, तुम्हारा खयाल है
फिर भी, जान-ए-जां
मैं कहाँ और तुम कहाँ, ग़ज़ब …
ġhazab kā hai din, socho zarā
ye dīvānāpan, dekho zarā
tum ho akele, ham bhī akele
mazā ā rahā hai, qasam se, qasam se
1) dekh lo, hamko karīb se
āj ham mile haiṅ nasīb se
ye pal phir kahāṇ
aur ye maṅjil phir kahāṇ, ġhazab …
2) kyā kahūṇ, merā jo hāl hai
rāt din, tumhārā khayāl hai
phir bhī, jān-e-jāṅ
maiṅ kahāṇ aur tum kahāṇ, ġhazab …