ग़म की दवा तो प्यार है ग़म की दवा शराब नहीं
ठुकराओ ना हमारा प्यार इतने तो हम ख़राब नहीं
ग़म की दवा तो …
जाता है जो जाने दो आता है वो आने दो
बीती बातें बीत गईं नई बहारें आने दो
बगिया में फूल हज़ारों हैं एक ही तो गुलाब नहीं
ग़म की दवा तो …
घाव जिया के भर देंगे टूटा दिल हम जोड़ेंगे
बन के रहेंगे साथी हम साथ कभी ना छोड़ेंगे
अब कोई तुमको सता सके इतनी किसी में ताब नहीं
ग़म की दवा तो …
ġham kī davā to pyār hai ġham kī davā śharāb nahīṅ
ṭhukrāo nā hamārā pyār itne to ham kharāb nahīṅ
ġham kī davā to …
jātā hai jo jāne do ātā hai vo āne do
bītī bāteṅ bīt gaīṅ naī bahāreṅ āne do
bagiyā meṅ phūl hazāroṅ haiṅ ek hī to gulāb nahīṅ
ġham kī davā to …
ghāv jiyā ke bhar deṅge ṭūṭā dil ham joṛeṅge
ban ke raheṅge sāthī ham sāth kabhī nā chhoṛeṅge
ab koī tumko satā sake itnī kisī meṅ tāb nahīṅ
ġham kī davā to …