गम का खज़ाना तेरा भी है मेरा भी
L: Lata
J: Jagjit
L, J: Lata followed by Jagjit
J, L: Jagjit followed by Lata
L\&J: Both together
L, J: गम का खज़ाना तेरा भी है मेरा भी
L\&J: ये नज़राना तेरा भी है मेरा भी
L: अपने गम का गीत बन कर गा लेना
राग पुराना तेरा भी है मेरा भी
L, J: तू मुझको और मैं तुमको समझाऊँ क्या
L\&J: दिल दीवाना तेरा भी है मेरा भी
L: शहर में गलियों गलियों जिसका चर्चा है
वो अफ़साना तेरा भी है मेरा भी
J: मैखाने की बात ना कर वाइज़ मुझसे
आन जाना तेरा भी है मेरा भी
Dictionary : 1. waaiz - preacher
L: Lata
J: Jagjit
L, J: Lata followed by Jagjit
J, L: Jagjit followed by Lata
L\&J: Both together
L, J: gam kā khazānā terā bhī hai merā bhī
L\&J: ye nazrānā terā bhī hai merā bhī
L: apne gam kā gīt ban kar gā lenā
rāg purānā terā bhī hai merā bhī
L, J: tū mujhko aur maiṅ tumko samjhāūṇ kyā
L\&J: dil dīvānā terā bhī hai merā bhī
L: śhahar meṅ galiyoṅ galiyoṅ jiskā charchā hai
vo afsānā terā bhī hai merā bhī
J: maikhāne kī bāt nā kar vāiz mujhse
ān jānā terā bhī hai merā bhī
Dictionary : 1. waaiz - preacher