Gaa deevaane jhoom ke raat kee zulfen choom ke

गा दीवाने झूम के रात की ज़ुल्फ़ें चूम के
Work
Year
Language

गा दीवाने झूम के
रात की ज़ुल्फ़ें चूम के
दिल भी है दिलदार भी है
मौसम भी है प्यार भी है

कल तक दुनिया और थी पर आज ज़माना और है
दिल की कहानी और है आँखों का फ़साना और है
डूब नशे में छेड़ मज़े में तू कोई नग़मा मस्ताना
गा दीवाने …

कौन ये आया झूमता मस्ती में क़दम हैं चूर से
देख रहे हैं ये समाँ मुड़-मुड़ के सितारे दूर से
हुस्न चला है इश्क़ से मिलने लेकर दिल का नज़राना
गा दीवाने …

gā dīvāne jhūm ke
rāt kī zulfeṅ chūm ke
dil bhī hai dildār bhī hai
mausam bhī hai pyār bhī hai

kal tak duniyā aur thī par āj zamānā aur hai
dil kī kahānī aur hai āṇkhoṅ kā fasānā aur hai
ḍūb naśhe meṅ chheṛ maze meṅ tū koī naġhmā mastānā
gā dīvāne …

kaun ye āyā jhūmtā mastī meṅ qadam haiṅ chūr se
dekh rahe haiṅ ye samāṇ muṛ-muṛ ke sitāre dūr se
husn chalā hai iśhq se milne lekar dil kā nazrānā
gā dīvāne …