Fizaa too havaa hai fizaa hai

फ़िज़ा तू हवा है फ़िज़ा है
Work
Year
Language

फ़िज़ा फ़िज़ा फ़िज़ा हे फ़िज़ा
तू हवा है फ़िज़ा है ज़मीं की नहीं
तू घटा है तो फिर क्‌यूँ बरसती नहीं
उड़ती रहती है तू पंछियों की तरह
आ मेरे आशियाने में आ

मैं हवा हूँ कहीं भी ठहरती नहीं
रुक भी जाऊँ कहीं पर तो रहती नहीं
मैने तिनके उठाए हुए हैं परों पर आशियाना नहीं है मेरा

घने एक पेड़ से मुझे झूंका कोई ले के आया है
सूखे इक पत्ते की तरह हवा ने हर तरफ़ उड़ाया है
आना आ हे आना आ इक दफ़ा इस ज़मीं से उठें
पाँव रखें हवा पर ज़रा सा उड़े
चल चलें हम जहाँ कोई रस्ता न हो
कोई रहता न हो कोई बसता न हो
कहते हैं आँखों में मिलती है ऐसी जगह
फ़िज़ा फ़िज़ा …

तुम मिले तो क्‌यूँ लगा मुझे खुद से मुलाकात हो गई
कुछ भी तो कहा नहीं मगर ज़िंदगी से बात हो गई
आना आ हे आना आ साथ बैठें ज़रा देर को
हाथ थामें रहें और कुछ ना कहें
छू के देखें तो आँखों की खामोशियाँ
कितनी चुपचाप होती हैं सरगोशियाँ
सुनते हैं आँखों में होती है ऐसी सदा
फ़िज़ा फ़िज़ा …

fizā fizā fizā he fizā
tū havā hai fizā hai zamīṅ kī nahīṅ
tū ghaṭā hai to phir k‌yūṇ barastī nahīṅ
uṛtī rahtī hai tū paṅchhiyoṅ kī tarah
ā mere āśhiyāne meṅ ā

maiṅ havā hūṇ kahīṅ bhī ṭhahartī nahīṅ
ruk bhī jāūṇ kahīṅ par to rahtī nahīṅ
maine tinke uṭhāe hue haiṅ paroṅ par āśhiyānā nahīṅ hai merā

ghane ek peṛ se mujhe jhūṅkā koī le ke āyā hai
sūkhe ik patte kī tarah havā ne har taraf uṛāyā hai
ānā ā he ānā ā ik dafā is zamīṅ se uṭheṅ
pāṇv rakheṅ havā par zarā sā uṛe
chal chaleṅ ham jahāṇ koī rastā na ho
koī rahtā na ho koī bastā na ho
kahte haiṅ āṇkhoṅ meṅ miltī hai aisī jagah
fizā fizā …

tum mile to k‌yūṇ lagā mujhe khud se mulākāt ho gaī
kuchh bhī to kahā nahīṅ magar ziṅdgī se bāt ho gaī
ānā ā he ānā ā sāth baiṭheṅ zarā der ko
hāth thāmeṅ raheṅ aur kuchh nā kaheṅ
chhū ke dekheṅ to āṇkhoṅ kī khāmośhiyāṇ
kitnī chupchāp hotī haiṅ sargośhiyāṇ
sunte haiṅ āṇkhoṅ meṅ hotī hai aisī sadā
fizā fizā …