dhartī kī god me
āsmāṇ ke chhāṇv me
kab se khaṛā hai yah tāj
chhupāe man me muhabbat kā rāz
ke sun lo iskī dil kī āvāz
duniyā ke āśhīqoṅ
duniyā ke premīyoṅ
sun lo muhabbat kā rāz
patnī ke vāste bīvī ke vāste
bantā yahāṇ aisā tāj
bantā yahāṇ aisā tāj
bīvī ko chhoṛ ke gairoṅ se jo.R ke
toṛe jo apnoṅ se prīt
paisoṅ ke vāste aisī mahloṅ meṅ
gāyā nahīṅ jāe gīt
kabhī gāyā nahīṅ jāe gīt
begam ke rūp meṅ soyā haiṅ pyār yahāṇ
āhistā āhistā bol
apne jigar ko śhāhenśhāh ke
is premī kaleje se tol
maṅdir ye pyār kā
tīrath saṅsār kā
ulafat kā hai ye mazhār
bhaṭke hue ko kehtā hai bār bār
sun lo re is kī pukār
sun lo re is kī pukār