एलो जी सनम हम आ गये आज फिर दिल ले के
एलो एलो!
एलो जी सनम हम आ गये आज फिर दिल लेके
अब इतना भी गुस्सा करो नहीं जानी
ये खोया खोया मौसम पवन दीवानी
कहीं उड़ा ले न यारा तुझे दिलदारा तुझे
एलो एलो …
कैसे जादुगर हैं बहार के ये दिन
जान ही न ले ले खुमार के ये दिन
जीने नहीं पाऊँगा हाय मर जाऊँगा
ऐसे न मारो नज़ारा मुझे …
माथे पे तो बल है लबों पे मुस्कन
छब है ग़ज़ब की मैं तेरे क़ुर्बान
देखो जान-ए-जाना बहक न जाना
आजा मैं दे दूँ सहारा तुझे …
चलो जी मैं गुस्सा न और करूँगी
तेरी शिक़ायत पे गौर करूँगी
क्या है मेरी मंज़िल समझ गया दिल
जाना करो न इशारा मुझे …
elo elo!
elo jī sanam ham ā gaye āj phir dil leke
ab itnā bhī gussā karo nahīṅ jānī
ye khoyā khoyā mausam pavan dīvānī
kahīṅ uṛā le na yārā tujhe dildārā tujhe
elo elo …
kaise jādugar haiṅ bahār ke ye din
jān hī na le le khumār ke ye din
jīne nahīṅ pāūṇgā hāy mar jāūṇgā
aise na māro nazārā mujhe …
māthe pe to bal hai laboṅ pe muskan
chhab hai ġhazab kī maiṅ tere qurbān
dekho jān-e-jānā bahak na jānā
ājā maiṅ de dūṇ sahārā tujhe …
chalo jī maiṅ gussā na aur karūṇgī
terī śhiqāyat pe gaur karūṇgī
kyā hai merī maṅzil samajh gayā dil
jānā karo na iśhārā mujhe …