Ek teraa saath ham ko do jahaan se pyaaraa hai

एक तेरा साथ हम को दो जहां से प्यारा है
Work
Year
Language

एक तेरा साथ हम को दो जहां से प्यारा है
तू है तो हर सहारा है
ना मिले संसार, तेरा प्यार तो हमारा है
तू है तो हर सहारा है

हम अकेले है, शहनाईयाँ चूप हैं, तो कंगना बोलता है
तू जो चलती है, छोटे से आँगन में, चमन सा डोलता है
आज घर हमने, मिलन के रंग से संवारा है
तू है तो हर सहारा है

देख आँचल में कई चाँदनी रुत के नज़ारे भर गये हैं
नैन से तेरे इस माँग में जैसे सितारें भर गये हैं
प्यार ने इस रात को आकाश से उतारा है
तू है तो हर सहारा है

तेरे प्यार की दौलत मिली हमको तो जीना रास आया
तू नहीं आई, ये आसमां चलकर जमीं के पास आया
हमको उल्फ़त ने तेरी आवाज़ से पुकारा है
तू है तो हर सहारा है

ek terā sāth ham ko do jahāṅ se pyārā hai
tū hai to har sahārā hai
nā mile saṅsār, terā pyār to hamārā hai
tū hai to har sahārā hai

ham akele hai, śhahnāīyāṇ chūp haiṅ, to kaṅgnā boltā hai
tū jo chaltī hai, chhoṭe se āṇgan meṅ, chaman sā ḍoltā hai
āj ghar hamne, milan ke raṅg se saṅvārā hai
tū hai to har sahārā hai

dekh āṇchal meṅ kaī chāṇdnī rut ke nazāre bhar gaye haiṅ
nain se tere is māṇg meṅ jaise sitāreṅ bhar gaye haiṅ
pyār ne is rāt ko ākāśh se utārā hai
tū hai to har sahārā hai

tere pyār kī daulat milī hamko to jīnā rās āyā
tū nahīṅ āī, ye āsmāṅ chalkar jamīṅ ke pās āyā
hamko ulfat ne terī āvāz se pukārā hai
tū hai to har sahārā hai