एक सवाल मैं करूँ एक सवाल तुम करो
एक सवाल मैं करूँ एक सवाल तुम करो
हर सवाल का सवाल ही जवाब हो
एक सवाल मैं करूँ …
प्यार की बेला साथ सजन का फिर क्यों दिल घबराये
नईहर से घर जाती दुल्हन क्यों नैना छलकाये
है मालूम कि जाना होगा, दुनियाँ एक सराय
फिर क्यों जाते वक़्त मुसाफ़िर रोये और रुलाये
- फिर क्यों जाते वक़्त मुसाफ़िर रोये और रुलाये!
एक सवाल मैं करूँ …
चाँद के माथे दाग है फिर भी चाँद को लाज न आये
उसका घटता बढ़ता चेहरा क्यों सुन्दर कहलाये
काजल से नैनों की शोभा क्यों दुगुनी हो जाये
गोरे गोरे गाल पे काला तिल क्यों मन को भाये
- गोरे गोरे गाल पे काला तिल क्यों मन को भाये
एक सवाल मैं करूँ …
गा गा गा रे गा रे …
उजियारे में जो परछाई पीछे पीछे आये
वही अन्धेरा होने पर क्यों साथ छोड़ छुप जाये
सुख में क्यों घेरे रहते हैं अपने और पराये
बुरी घड़ी में क्यों हर कोई देख के भी क़तराये
- बुरी घड़ी में क्यों हर कोई देख के भी क़तराये
एक सवाल मैं करूँ …
ek savāl maiṅ karūṇ ek savāl tum karo
har savāl kā savāl hī javāb ho
ek savāl maiṅ karūṇ …
pyār kī belā sāth sajan kā phir kyoṅ dil ghabrāye
naīhar se ghar jātī dulhan kyoṅ nainā chhalkāye
hai mālūm ki jānā hogā, duniyāṇ ek sarāy
phir kyoṅ jāte vaqt musāfir roye aur rulāye
- phir kyoṅ jāte vaqt musāfir roye aur rulāye!
ek savāl maiṅ karūṇ …
chāṇd ke māthe dāg hai phir bhī chāṇd ko lāj na āye
uskā ghaṭtā baṛhtā chehrā kyoṅ sundar kahlāye
kājal se nainoṅ kī śhobhā kyoṅ dugunī ho jāye
gore gore gāl pe kālā til kyoṅ man ko bhāye
- gore gore gāl pe kālā til kyoṅ man ko bhāye
ek savāl maiṅ karūṇ …
gā gā gā re gā re …
ujiyāre meṅ jo parchhāī pīchhe pīchhe āye
vahī andherā hone par kyoṅ sāth chhoṛ chhup jāye
sukh meṅ kyoṅ ghere rahte haiṅ apne aur parāye
burī ghaṛī meṅ kyoṅ har koī dekh ke bhī qatrāye
- burī ghaṛī meṅ kyoṅ har koī dekh ke bhī qatrāye
ek savāl maiṅ karūṇ …