Ek pyaasaa tujhe ... baazee kisee ne pyaar kee jeetee yaa haar dee

एक प्यासा तुझे ... बाज़ी किसी ने प्यार की जीती या हार दी
Work
Year
Language

एक प्यासा तुझे मैख़ाना दिए जाता है
जाते-जाते भी ये नज़राना दिए जाता है

बाज़ी किसी ने प्यार की जीती या हार दी
जैसे गुज़र सकी ये शब-ए-ग़म गुज़ार दी
बाज़ी किसी ने …

साहिल करेगा याद उसी नामुराद को
कश्ती ख़ुशी से जिसने भँवर में उतार दी
बाज़ी किसी ने …

चल पड़े सफ़र को तो मुड़ के क्‌या देखना
दुनिया ने उसको सदा बार-बार दी
बाज़ी किसी ने …

ek pyāsā tujhe maikhānā die jātā hai
jāte-jāte bhī ye nazrānā die jātā hai

bāzī kisī ne pyār kī jītī yā hār dī
jaise guzar sakī ye śhab-e-ġham guzār dī
bāzī kisī ne …

sāhil karegā yād usī nāmurād ko
kaśhtī khuśhī se jisne bhṇvar meṅ utār dī
bāzī kisī ne …

chal paṛe safar ko to muṛ ke k‌yā dekhnā
duniyā ne usko sadā bār-bār dī
bāzī kisī ne …