dil ai dil bahāroṅ se mil
sitāroṅ se āṇkheṅ milā
ye samāṇ ye raṅgīṅ samāṇ
mausam bhī hai pyār kā
yahī hai mere tere khvāboṅ kī duniyā
dil ai dil …
bahut pās thī pyār kī maṅzileṅ
magar rāstā bhūl jāte the ham
agar dil kī nazroṅ se tum dekhte
khaṛe sāmne muskurāte the ham
dil ai dil …
achānak khayāloṅ meṅ ākar mere
tumhīṅ merī nīṅdeṅ churāte rahe
tumheṅ ham ne dil meṅ bulāyā to thā
magar tum hī dāman bachāte rahe
dil ai dil …
muhabbat kā ye gīt gāte hue
ham is rāh meṅ āj kho jāyeṅge
zamānā ye ab chāhe jo bhī kare
liyā jis ne dil us ke ho jāyeṅge
dil ai dil …