mu: āṇkhoṅ meṅ raṅg kyūṇ āyā bolo naśhā sā kyoṅ chhāyā
hamko ye rāz batlāo dil kho ke tumne kyā pāyā
la: chamkī nasīb kī rāheṅ ham kyūṇ na āj itrāeṇ
rāhoṅ se haṭ gae kāṇṭe to phūl kyūṇ na muskāeṇ
mu: āṇkhoṅ meṅ raṅg …
mukhaṛe pe subah kī dhūp ye khiltā-khiltā rūp
kājal lakīr chitavan ke tīr ye nainā rūp anūp
la: tum kyā samjho ye rāz ulfat ke ye andāz
sun ke zarūr hogā ġhurūr aur karne lagoge nāz
mu: aisā khyāl mat kīje ham se ye bhed kah dīje
ham bhī to āp hī ke haiṅ hamse yūṇ śharm nā kīje
la: chamkī nasīb kī rāheṅ …
mu: āṇkhoṅ meṅ raṅg …
tarsāo na yūṇ hamdam tumheṅ nāz-o-adā kī qasam
jaldī se bol do ye rāz khol do pardā uṭhā do sanam
la: hargiz na kahūṇgī ye bāt joṛoge na jab tak hāth
banke nasīb rahnā qarīb jyūṇ tāre chāṇd ke sāth
mu: tumse judā na hoṅge ham badleṅ hazār ye ālam
ham tumpe jān de deṅge gātī hai sāṇs kī sargam
āṇkhoṅ meṅ raṅg …