har koī chāhtā hai, ik muṭṭhī āsmān
har koī ḍhūṇḍhtā hai, ik muṭṭhī āsmān
jo sīne se lagā le, ho aisā ik jahān
har koī chāhtā hai, ik muṭṭhī āsmān, har koī …
chāṇd sitāroṅ kā melā hai, ye dil phir bhī akelā hai - 2
mahafil meṅ hai śhahnāī, phir bhī dil meṅ hai tanhāī
hai sāṇsoṅ meṅ jaise kaī tūfān, har koī, har koī …
miltā nahīṅ kyā yahāṇ ai dil, phir kyoṅ nā mile gītoṅ kī maṅjil
chalte jānā yūṇ hī rāhoṅ meṅ, bhar hī lagā koī bāhoṅ maiṅ
hameśhā rahegā nā dil vīrān, har koī, har koī …
har koī …
mujhko jīne kā koī sahārā milā, ġham ke tūfān meṅ koī kinārā milā
sūnī sūnī thī jo rāheṅ, ban gayī pyār kī bāheṅ
lo khuśhiyoṅ se merī huī pahchān, har koī, har koī …
saudā hai riśhtedārī, yārī ek dikhāvā hai
apnā kyā hai duniyā meṅ, man kā ek chhalāvā hai
kahāṇ milegā tujhko yār, zahar bharī duniyā meṅ pyār
sabhī ajanbī haiṅ sabhī anjān - 2, har koī, har koī …
insān honā kāfī hai, koī fariśhtā nahīṅ to kyā
diloṅ ke riśhte kyā kām haiṅ, khūn kā riśhtā nahīṅ to kyā
gair hī bante haiṅ apne, sach ho jāte haiṅ sapne
jo dil kā ho sachchā agar insān, har koī, har koī …