Ek jurm karke hamne chaahaa thaa muskuraanaa

एक जुर्म करके हमने चाहा था मुस्कुराना
Work
Year
Language

एक जुर्म करके हमने चाहा था मुस्कुराना
मरने न दे मोहब्बत, जीने न दे ज़माना

हम बेताल्लुक़ी की रस्में निभा देंगे
पर तुम न याद करना, पर तुम न याद आना

ये सोचकर बुझा दी ख़ुद शमा आर्ज़ू की
शायद हो रोशनी में, मुश्किल नज़र मिलाना

जब अश्क पी लिये हैं, जब होंठ सी लिये हैं
तब पूछती है दुनिया, मुझसे मेरा फ़साना

एक जुर्म करके हमने चाहा था मुस्कुराना

ek jurm karke hamne chāhā thā muskurānā
marne na de mohabbat, jīne na de zamānā

ham betālluqī kī rasmeṅ nibhā deṅge
par tum na yād karnā, par tum na yād ānā

ye sochkar bujhā dī khud śhamā ārzū kī
śhāyad ho rośhnī meṅ, muśhkil nazar milānā

jab aśhk pī liye haiṅ, jab hoṅṭh sī liye haiṅ
tab pūchhtī hai duniyā, mujhse merā fasānā

ek jurm karke hamne chāhā thā muskurānā