bekhudī kā baṛā sahārā hai varnā duniyā meṅ kyā hamārā hai
log marte haiṅ maut āne se hamko is ziṅdgī ne mārā hai
bekhudī kā baṛā sahārā hai …
is muqaddar ka ye sitam dekho
ḍūbte jā rahe haiṅ ham dekho
aur vo sāmne kinārā hai
bekhudī kā baṛā sahārā hai …
ādmī kuchh bhī kar nahīṅ saktā
vaqt aisā guzar nahīṅ saktā
vaqt aisā magar guzārā hai
bekhudī kā baṛā sahārā hai …
kitnī halkī hai kitnī bojhil hai
koī aurat nahīṅ ye botal hai
band is meṅ jahān sārā hai
bekhudī kā baṛā sahārā hai …