Ek hasrat thee ki aanchal kaa mujhe pyaar mile

एक हसरत थी कि आँचल का मुझे प्यार मिले
Year
Language

एक हसरत थी कि आँचल का मुझे प्यार मिले
मैने मंज़िल को तलाशा मुझे बाज़ार मिले
( ज़िन्दगी और बता ) -2 तेरा इरादा क्‌या है
एक हसरत थी …

मुझको पैदा किया संसार में दो लाशों ने
और बरबाद किया क़ौम के अय्याशों ने
तेरे दामन में बता मौत से ज़्यादा क्‌या है
ज़िन्दगी और बता …

जो भी तस्वीर बनाता हूँ बिगड़ जाती है
देखते-देखते दुनिया ही उजड़ जाती है
मेरी कश्ती तेरा तूफ़ान से वादा क्‌या है
ज़िन्दगी और बता …

तूने जो दर्द दिया उसकी क़सम खाता हूँ
इतना ज़्यादा है कि एहसाँ से दबा जाता हूँ
मेरी तक़दीर बता और तक़ाज़ा क्‌या है
ज़िन्दगी और बता …

मैने जज़्बात के संग खेलते दौलत देखी
अपनी आँखों से मोहब्बत की तिजारत देखी
ऐसी दुनिया में मेरे वास्ते रखा क्‌या है
ज़िन्दगी और बता …

आदमी चाहे तो तक़दीर बदल सकता है
पूरी दुनिया की वो तस्वीर बदल सकता है
( आदमी सोच तो ले ) -2 उसका इरादा क्‌या है -2
ज़िन्दगी और बता …

ek hasrat thī ki āṇchal kā mujhe pyār mile
maine maṅzil ko talāśhā mujhe bāzār mile
( zindgī aur batā ) -2 terā irādā k‌yā hai
ek hasrat thī …

mujhko paidā kiyā saṅsār meṅ do lāśhoṅ ne
aur barbād kiyā qaum ke ayyāśhoṅ ne
tere dāman meṅ batā maut se zyādā k‌yā hai
zindgī aur batā …

jo bhī tasvīr banātā hūṇ bigaṛ jātī hai
dekhte-dekhte duniyā hī ujaṛ jātī hai
merī kaśhtī terā tūfān se vādā k‌yā hai
zindgī aur batā …

tūne jo dard diyā uskī qasam khātā hūṇ
itnā zyādā hai ki ehsāṇ se dabā jātā hūṇ
merī taqdīr batā aur taqāzā k‌yā hai
zindgī aur batā …

maine jazbāt ke saṅg khelte daulat dekhī
apnī āṇkhoṅ se mohabbat kī tijārat dekhī
aisī duniyā meṅ mere vāste rakhā k‌yā hai
zindgī aur batā …

ādmī chāhe to taqdīr badal saktā hai
pūrī duniyā kī vo tasvīr badal saktā hai
( ādmī soch to le ) -2 uskā irādā k‌yā hai -2
zindgī aur batā …