एक अकेला इस शहर में, रात में और दोपहर में
एक अकेला इस शहर में, रात में और दोपहर में
आब-ओ-दाना ढूँढता है, आशियाना ढूँढता है
दिन खाली खाली बर्तन है, और रात है जैसे अंधा कुँआ
इन सूनी अंधेरी आखों में, आँसू की जगह आता है धुआँ
जीने की वजह तो कोई नहीं, मरने का बहाना ढूँढता है
इन उम्र से लंबी सडकों को, मंजिल पे पहुचते देखा नहीं
बस दौड़ती, फिरती रहती है, हमने तो ठहरते देखा नहीं
इस अजनबी से शहर में, जाना पहचाना ढूँढता है
ek akelā is śhahar meṅ, rāt meṅ aur dopahar meṅ
āb-o-dānā ḍhūṇḍhtā hai, āśhiyānā ḍhūṇḍhtā hai
din khālī khālī bartan hai, aur rāt hai jaise aṅdhā kuṇā
in sūnī aṅdherī ākhoṅ meṅ, āṇsū kī jagah ātā hai dhuāṇ
jīne kī vajah to koī nahīṅ, marne kā bahānā ḍhūṇḍhtā hai
in umr se laṅbī saḍkoṅ ko, maṅjil pe pahuchte dekhā nahīṅ
bas dauṛtī, phirtī rahtī hai, hamne to ṭhaharte dekhā nahīṅ
is ajanbī se śhahar meṅ, jānā pahchānā ḍhūṇḍhtā hai