Ek ajanbee, haseenaa se, yoon mulaakaat, ho gaee

एक अजनबी, हसीना से, यूँ मुलाकात, हो गई
Work
Year
Language

एक अजनबी, हसीना से, यूँ मुलाकात, हो गई
फिर क्‌या हुआ, ये ना पूछो, कुछ ऐसी बात, हो गई
एक अजनबी …

वो अचानक आ गई, यूँ नज़र के सामने
जैसे निकल आया घटा से चाँद
चेहरे पे ज़ुल्फ़ें, बिखरी हुई थीं
दिन में रात हो गई
एक अजनबी …

जान-ए-मन जान-ए-जिगर, होता मैं शायर अगर
कहता ग़ज़ल तेरी अदाओं पर
मैं ने ये कहा तो, मुझसे ख़फ़ा वो
जान-ए-हयात हो गई
एक अजनबी …

खूबसूरत बात ये, चार पल का साथ ये
सारी उमर मुझको रहेगा याद
मैं अकेला था मगर, बन गई वो हमसफ़र
वो मेरे साथ हो गई
एक अजनबी …

ek ajanbī, hasīnā se, yūṇ mulākāt, ho gaī
phir k‌yā huā, ye nā pūchho, kuchh aisī bāt, ho gaī
ek ajanbī …

vo achānak ā gaī, yūṇ nazar ke sāmne
jaise nikal āyā ghaṭā se chāṇd
chehre pe zulfeṅ, bikhrī huī thīṅ
din meṅ rāt ho gaī
ek ajanbī …

jān-e-man jān-e-jigar, hotā maiṅ śhāyar agar
kahtā ġhazal terī adāoṅ par
maiṅ ne ye kahā to, mujhse khafā vo
jān-e-hayāt ho gaī
ek ajanbī …

khūbsūrat bāt ye, chār pal kā sāth ye
sārī umar mujhko rahegā yād
maiṅ akelā thā magar, ban gaī vo hamasafar
vo mere sāth ho gaī
ek ajanbī …