Ehsaan mere dil pe tumhaaraa hai doston

एहसान मेरे दिल पे तुम्हारा है दोस्तों
Work
Year
Language

एहसान मेरे दिल पे तुम्हारा है दोस्तों
ये दिल तुम्हारे प्यार का मारा है दोस्तों

बनता है मेरा काम तुम्हारे ही काम से
होता है मेरा नाम तुम्हारे ही नाम से
तुम जैसे मेहरबां का सहारा है दोस्तों
ये दिल तुम्हारे प्यार का ...

यारों ने मेरे वास्ते क्या कुछ नहीं किया
सौ बार शुक्रिया अरे, सौ बार शुक्रिया
बचपन तुम्हारे साथ गुज़ारा है दोस्तों
ये दिल तुम्हारे प्यार का ...

ehsān mere dil pe tumhārā hai dostoṅ
ye dil tumhāre pyār kā mārā hai dostoṅ

bantā hai merā kām tumhāre hī kām se
hotā hai merā nām tumhāre hī nām se
tum jaise meharbāṅ kā sahārā hai dostoṅ
ye dil tumhāre pyār kā ...

yāroṅ ne mere vāste kyā kuchh nahīṅ kiyā
sau bār śhukriyā are, sau bār śhukriyā
bachapan tumhāre sāth guzārā hai dostoṅ
ye dil tumhāre pyār kā ...