Eeshvar allah tere jahaan men

ईश्वर अल्लह तेरे जहाँ में
Work
Year
Language

(ईश्वर अल्लाह तेरे जहाँ में
नफ़रत क्‌यों है जंग है क्‌यों
तेरा दिल तो इतना बड़ा है
इन्साँ का दिल तंग है क्‌यों) -2

क़दम क़दम पर सरहद क्‌यों है
सारी ज़मीं जो तेरी है
सूरज के फेरे करती है
फिर भी कितनी अंधेरी है
इस दुनिया के दामन पर
इन्साँ के लहू का रंग है क्‌यों

(ईश्वर अल्लाह तेरे जहाँ में
नफ़रत क्‌यों है, जंग है क्‌यों
तेरा दिल तो इतना बड़ा है
इन्साँ का दिल तंग है क्‌यों) -2

गूँज रही हैं कितनी चीखें
प्यार की बातें कौन सुने
टूट रहे हैं कितने सपने
इनके टुकड़े कौन चुने
दिल के दरवाज़ों पर ताले
तालों पर ये ज़ंग है क्‌यों

(ईश्वर अल्लाह तेरे जहाँ में
नफ़रत क्‌यों है, जंग है क्‌यों
तेरा दिल तो इतना बड़ा है
इन्सां का दिल तंग है क्‌यों) -2

(īśhvar allāh tere jahāṇ meṅ
nafrat k‌yoṅ hai jaṅg hai k‌yoṅ
terā dil to itnā baṛā hai
insāṇ kā dil taṅg hai k‌yoṅ) -2

qadam qadam par sarahad k‌yoṅ hai
sārī zamīṅ jo terī hai
sūraj ke phere kartī hai
phir bhī kitnī aṅdherī hai
is duniyā ke dāman par
insāṇ ke lahū kā raṅg hai k‌yoṅ

(īśhvar allāh tere jahāṇ meṅ
nafrat k‌yoṅ hai, jaṅg hai k‌yoṅ
terā dil to itnā baṛā hai
insāṇ kā dil taṅg hai k‌yoṅ) -2

gūṇj rahī haiṅ kitnī chīkheṅ
pyār kī bāteṅ kaun sune
ṭūṭ rahe haiṅ kitne sapne
inke ṭukaṛe kaun chune
dil ke darvāzoṅ par tāle
tāloṅ par ye zaṅg hai k‌yoṅ

(īśhvar allāh tere jahāṇ meṅ
nafrat k‌yoṅ hai, jaṅg hai k‌yoṅ
terā dil to itnā baṛā hai
insāṅ kā dil taṅg hai k‌yoṅ) -2