sukh: jo afsāne dil ne bune
unko koī dil hī sune
ham haule haule pyār kī dhuṅdlī fizāoṅ meṅ āye
gahre gahre haiṅ khvāb kī nīlī ghaṭāoṅ ke sāye
ham tum donoṅ khoye khoye
sapne dekheṅ jāge soye
gumsum hairāṇ
ko: (ye jo ziṅdgī hai koī dāstāṇ hai
kab hogā kyā ye khabar kahāṇ hai
ye jo ziṅdgī hai koī kārvāṇ hai
kahāṇ jāyegī ye khabar kahāṇ hai) -2
sujā:bahtī haiṅ chiṅgāriyāṇ jaise
sar se pāṇv tak nas nas meṅ
halkā halkā hośh hai lekin
kuchh bhī nahīṅ ab mere bas meṅ
mere aṅg aṅg meṅ bechainī bijlī banke lahrāye
ek mīṭhe mīṭhe dard kā bādal tan man par chhāye
sāṇseṅ uljhe dhaṛke ye dil
jāne kaise merī muśhkil
hogī āsāṇ
ko: (ye jo ziṅdgī hai koī dāstāṇ hai
kab hogā kyā ye khabar kahāṇ hai
ye jo ziṅdgī hai koī kārvāṇ hai
kahāṇ jāyegī ye khabar kahāṇ hai) -3
sukh: are kāśh merī in āṇkhoṅ kī ab rośhnī bujh jāye
maiṅ ne dekhā thā jo khvāb vo mujhko na kabhī yād āye
aise barse ġham ke tīśhe
ṭūṭe dil ke sāre śhīśhe
dil hai vīrāṇ
ko: (ye jo ziṅdgī hai koī dāstāṇ hai
kab hogā kyā ye khabar kahāṇ hai
ye jo ziṅdgī hai koī kārvāṇ hai
kahāṇ jāyegī ye khabar kahāṇ hai) -2