rut ā gaī re rut chhā gaī re
pīlī-pīlī sarsoṅ phūle
pīle-pīle patte jhūmeṅ
pīhū-pīihū papihā bole
chal bāg meṅ
dhamak-dhamak ḍholak bāje
chhanak-chhanak pāyal chhanke
khanak-khanak kaṅgnā bole
chal bāg meṅ
chunrī jo terī uṛtī hai uṛ jāne de
biṅdiyā jo terī girtī hai gir jāne de
gītoṅ kī mauj āī
phūloṅ kī fauj āī
nadiyā meṅ jo dhūp ghulī sonā bahā
ambuā se hai lipṭī ek bel bele kī
tū hī mujh se hai dūr ā pās ā
mujh ko tū sāṇsoṅ se chhū le
jhūl in bāhoṅ ke jhūle
pyār thoṛā sā mujhe de ke
mere jān-o-dil tū le
tū jab yūṇ sajtī hai
ek dhūm machtī hai
sārī galiyoṅ meṅ sāre bāzār meṅ
āṇchal basaṅtī hai us meṅ se chhantī hai
jo maiṅne pūjī hai mūrat tihāre meṅ
jāne kaisī hai ye ḍorī
maiṅ baṅdhā hūṇ jis se gorī
tere nainoṅ ne merī nīṅdoṅ kī kar lī hai chorī
%(your eyes have stolen my slīps)