E maine kasam lee

ए मैने कसम ली
Year
Language

ए मैने कसम ली, ए तू ने कसम ली
नही होंगे जुदा, हम

साँस तेरी मदिर मदिर, जैसे रजनीगंधा
प्यार तेरा मधुर मधुर, चाँदनी की गंगा
नही होंगे जुदा, हम

पा के कभी खोया तुझे, खो के कभी पाया
जनम जनम तेरे लिए, बदली हम ने काया
नही होंगे जुदा, हम

एक तन है, एक मन है, एक प्राण अपने
एक रंग, एक रूप, तेरे मेरे सपने
नही होंगे जुदा, हम

e maine kasam lī, e tū ne kasam lī
nahī hoṅge judā, ham

sāṇs terī madir madir, jaise rajnīgaṅdhā
pyār terā madhur madhur, chāṇdnī kī gaṅgā
nahī hoṅge judā, ham

pā ke kabhī khoyā tujhe, kho ke kabhī pāyā
janam janam tere lie, badlī ham ne kāyā
nahī hoṅge judā, ham

ek tan hai, ek man hai, ek prāṇ apne
ek raṅg, ek rūp, tere mere sapne
nahī hoṅge judā, ham