Duniyaa vaalon raam-seetaa kee ... galee-galee seetaa roe

दुनिया वालों राम-सीता की ... गली-गली सीता रोए
Work
Year
Language

दुनिया वालों राम-सीता की नई कहानी सुन लो
वाल्मीक से ख़ूब सुनी अब मेरी ज़ुबानी सुन लो

गली-गली सीता रोए आज मेरे देश में
सीता देखी राम देखा आज नए भेष में

तुमने नाम सुना सीता का मैं उसे देख आया हूँ
ओ धर्म के ठेकेदारों मैं एक नई रामायण लाया हूँ
वो सीता थी रामायण की जीती जागती
रूठे राम से जो खोया प्यार माँगती
गली-गली सीता रोए …

राम की लीला देख चुके कोई उसकी लीला जाने ना
राम यहाँ सीता यहाँ पर कोई पहचाने ना
आगे बढ़ के देख दीवाने तू ही इनका राम है
इसके दिल को चीर के देख लिया तेरा नाम है
गली-गली सीता रोए …

धरती फटी सीता छुपी कहीं नज़र आये ना
ये वो सीता है कि जिसे धरती भी छुपाये ना
ये भी सीता वो भी सीता फ़र्क देखो भाग में
वो आग से लौट आई ये है अभी आग में
गली-गली सीता रोए …

बहन जिस भाई की है वो भी ख़फ़ा हो गया
माँ ये किसी लाल की है वो भी जुदा हो गया
जनक सीता छोड़ दे तो कहाँ जाए जानकी
माँ इसे पहचान के भी फिर नहीं पहचानती
गली-गली सीता रोए …

क्‌यों भरोसा नहीं इसपे क्‌या ये प्यार झूठा है
बोलो-बोलो आँसुओं का क्‌या ये हार झूठा है
इसकी कथा झूठी है तो झूठा भगवान है
झूठी है रामायण सारी और झूठा राम है
धर्म झूठा प्रेम झूठा झूठा हिन्दुस्तान है
देवियों पे दोष लगे आज मेरे देश में
सीता तो है राम नहीं आज मेरे देश में
गली-गली सीता रोए …

duniyā vāloṅ rām-sītā kī naī kahānī sun lo
vālmīk se khūb sunī ab merī zubānī sun lo

galī-galī sītā roe āj mere deśh meṅ
sītā dekhī rām dekhā āj nae bheṣh meṅ

tumne nām sunā sītā kā maiṅ use dekh āyā hūṇ
o dharm ke ṭhekedāroṅ maiṅ ek naī rāmāyaṇ lāyā hūṇ
vo sītā thī rāmāyaṇ kī jītī jāgtī
rūṭhe rām se jo khoyā pyār māṇgtī
galī-galī sītā roe …

rām kī līlā dekh chuke koī uskī līlā jāne nā
rām yahāṇ sītā yahāṇ par koī pahchāne nā
āge baṛh ke dekh dīvāne tū hī inkā rām hai
iske dil ko chīr ke dekh liyā terā nām hai
galī-galī sītā roe …

dhartī phaṭī sītā chhupī kahīṅ nazar āye nā
ye vo sītā hai ki jise dhartī bhī chhupāye nā
ye bhī sītā vo bhī sītā fark dekho bhāg meṅ
vo āg se lauṭ āī ye hai abhī āg meṅ
galī-galī sītā roe …

bahan jis bhāī kī hai vo bhī khafā ho gayā
māṇ ye kisī lāl kī hai vo bhī judā ho gayā
janak sītā chhoṛ de to kahāṇ jāe jānkī
māṇ ise pahchān ke bhī phir nahīṅ pahchāntī
galī-galī sītā roe …

k‌yoṅ bharosā nahīṅ ispe k‌yā ye pyār jhūṭhā hai
bolo-bolo āṇsuoṅ kā k‌yā ye hār jhūṭhā hai
iskī kathā jhūṭhī hai to jhūṭhā bhagvān hai
jhūṭhī hai rāmāyaṇ sārī aur jhūṭhā rām hai
dharm jhūṭhā prem jhūṭhā jhūṭhā hindustān hai
deviyoṅ pe doṣh lage āj mere deśh meṅ
sītā to hai rām nahīṅ āj mere deśh meṅ
galī-galī sītā roe …